4G Sim Cost and Service kaise milega
4G Sim Cost and Service kaise milega
Reliance Jio apne Customers ko 3 month ke 4G data ke sath 3 month ke liye free Calling, Free Sms features bhi provide kar raha hai. 4G sim ki cost kam he aur saath hi surfing ke liye free data bhi milne vala he 3 months ke liye. Liken dusri badi companiyon ke mukable aage jana he to kuch aur khas batein bhi hongi. (Reliance Jio 4G Sim Kaise Chalaye – Jankari Hindi Me).
Free Reliance Jio 4G sim Trial And test
Filhal reliance free 4G sirf unke employees ko trial and test karne ke liye di he. 75GB data 3 month ke liye diya gaya hai aur sath hi 4500 minute baat karne ke liye diye gaye hain. Reliance Jio ne apni iss Service ko aaj 15 August ko Launch kar diya hai.. Pehle iski launching ke liye bahut sare sawal uth rahe the, lekin finaly Reliane Jio apni iss Service ko launch kar diya.
Reliance Jio 4G Sim Kaise Chalaye –hindimehelprustam
Kaise Milegi Reliance Jio 4G sim
Reliance Jio 4G sim use karne ke khas 3 tarike he. Jante he step by step.
Tarika 1
- Pahla tarika yeh hai ki iske liye aapko reliance ki taraf se launch reliane “LYG” ka koi bhi brand new phone lena hoga.
- Uss LYF phone ke sath aapko Jio ka ek sim bhi diya jaega or uske bad aap free 4g service ko use kar payege.
Reliance LYF ke 4g smartphones market me rs.2999 se rs.6999 tak, ya rs.19999 tak bhi aate hain.
Tarika 2
Agar reliance ka koi bhi karamchari (employee) aapko invite karega. Invite karne par wo aapko ek invitation digital code provide karwayega. Unn codes ko hum reliance Jio ke kisi bhi store me le jakar dikhakar or sim ke liye apni id proof or 1 passport size photo dekar Jio ki sim le sakte he. Iss sim ko lene ke liye aapko 196 se 496 Rs tak bhi dene padege.
Note: 1st or 2nd dono tarike se Jio sim lene ke liye aapko sath me reliance ka ‘LYF’ handset/smartphone bhi lena padega
Tarike 3
Ye tarika sab use kar sakte he aur easy bhi he. Jo LYF phone kharide bina Jio ki free 4g service lena chahte he, wo 3rd tariko se Jio sim le sakte he. Iske liyekuch step he jo apko follow karne honge.
- Sabse pehle www.Jio.com par jakar apna registration kare.
- Registration hone ke baad company ki taraf se ek email aayega. Isme Jio ke bare me sari jankari hogi.
- Email me aapko ek baar-code milega, uska printout nikal le, ya mobile me save/kahin safe jagah likh lein.
- Ab kisi bhi Jio store ya sim provider ke pass jaye or yeh code dikhakar or apni id proof dekar or photo dekar apni Jio sim kharid lein.
- Aapko sim ke liye 196 to 499 tak pay bhi karna hoga.
- 24 hours me aapki sim start ho jaegi.. Start hone ke baad verify karwake free 4g superfast internet use kar sakte hain.
Note : Iss service ke liye aapka handset 4g supported hona chaiye. Sim kharidne ke liye aapke pass codes ke alawa jaruri documents, jaise- id proof or 1/2 passport size photo bhi jaruri hain. (Reliance Jio 4G Sim Kaise Chalaye)
Dusre android phone me 4g reliance Jio sim card kaise use kare
Sabse pahle aapke pas ek android phone hone chahiye jo 4g support karta ho or rooted ho hum is trick me “xlosed installer” se ko mobile me setup karke “imei changer” se IMEI change karege or “joinJio.apk” android app se Jio sim ko activate karege.
Jaruri chije – requirements
- Reliance Jio 4g sim chahiye.
- Rooted hona chahiye.
- LYF mobile ka imei hona chahiye.
- 4g handset hona jaruri hai.
- Xposed or imei changer app bhi honi chahiye.
How to use Jio 4g sim in other nonvolte supported phones
Step 1 : Sabse pahle 4g rooted phone hona chahiye ager nhi hai root kar le.
Step 2 : Ab root ho jane ke bad playstore se “xposed installer” download kare.
Step 3 : Ab “imel changer” mobile app download kare.
Step 4 : “xposed” me jakar “framework” me “imei changer” module ko activate/tick kare.
Step 5 : Uske bad imei chager app me jakar reliance LYF mobile ka imei apply/set kar de.
Step 6 : Ab aapne us android phone ko switch off kare or slot-1 me aapni Jio sim ko dale or 1 minutes ke bad aapne mobile ko switch on kare.
Step 7 : Ab aapka Jio sim on ho chuka hai par koi bhi signal nhi hai uske liye aapko aapne mobile ki settings > more > mobile networks > network operators > search manually > choose reliance Jio kare or uske bad aapne mobile me dubara settings > more > mobile networks > access point names > create new apn me jaye or yeh APN banaye.
Step 8 : Ab dailer me jaye or *#*#4636#*#* ussd type kare or lte only selected kare.
Step 9 : Ab Jiojoin app download kar le. Playstore or Jiojoin app me account bana le or Jio ki apps aapne mobile me install kar le or mobile ko rebot kare.
Ab sab kuch set ho chuka hai aapka relince LYF ka sim other android me activated ho chuka hai.
Abhi haal me hi reliance Jio ne ek doosri scheme launch ki hai. Is offer me Jio ne samsung ke sath partnership ki hai jisme ki samsung ke kuch best smartphone ki list banayi gayi hai.
In list me jo bhi samsung phones hai unke sath Jio sim free me available hai. Iska saaf matlab ye hai ki agar aapke paas inme se koi bhi samsung ka smartphone hai to aap is offer ka pura faayeda utha sakte hai.
Kuch smartphones ki list yeh hai
Samsung phones
Galaxy s7
Galaxy s7 edge*
Galaxy s6
Galaxy s6 edge
Galaxy s6 edge+
Note 4, note 5
Note 5 dual sim
Note edge, a5, a7, a8
Apple iphone
Apple iphone 6
Apple iphone 6s
Apple iphone 6 plus
Apple iphone 6s plus
Apple iphone se
Agar apko article pasand aaya ho to apne friends aur relatives mai share jarur kare. Aur unhe jo bhi jankari chahiye to kahe bas Www.hindimehelprustam.blogspot.com par jaye.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें