Youtube Ka Speed Kaise Badhaye

Youtube Ka Speed Kaise Badhaye – Jankari Hindi Me

Youtube Ka Speed Kaise Badhaye

Youtube Ka Speed Kaise Badhaye. YouTube ek adbhoot saadhan jisse kai tarah ke videos dwara log mugdh rehte hain. Yeh sabse accha tarika hain videos ko nirantar roop mein dekhte rehne ka. Isme na sirf aap apne pasandida videos dekh sakte hain balki apni pasand ke videos upload bhi kar sakte hain. Iska maza aap tab hi lein sakte hain jab aapke paas ek yogya internet connection ho. Na sirf tez internet connection iski mool zaroorat hain balki video bhi bina kisi rukavat ya buffering ke bina chalna chahiye. Aaiye jaane aap Youtube Ka Speed Kaise Badhaye, taki videos dekhna aur bhi mazedaar ho jaaye.



Youtube Ka Speed Kaise Badhaye

Kaun se karak YouTube ki speed par asar daalte hai

Sarvshreshtha karak hain aapke internet ka speed. Aaj ke daur mein internet koi bhi kaam karne minton mein ka sabse aasan tarika hain. You Tube ki buffering ki speed aapke internet ki speed par nirbhar karti hain. Agar aapka computer purane hardware par chalta hain to isse aapke videos load ya buffer hone mein adhik samay lagte hain. Ise theek karne ke liye niche diye upaayon ko apnaye. Youtube Ka Speed Kaise Badhaye.

Apne internet ke speed ko 20% tak badhayen

Internet ki speed 20% tak badhane se you tube ki speed bhi badh jaayegi. Agar aapke PC ya laptop mein windows software hain to aap bahut aasani se apne internet ki speed ko badha sakte hain. Iske liye aap apne computer ke start button par click karen, menu mein se run chunein aur usme typr karen “gpedit.msc”. Phir local computer policy chun kar limit reservable bandwith tak pahunche. Is par double click karen tatha bandwith sima ko 0 kar dein.


CDN networks dwara istemaal ho rahe IP address ko block kare

Content Delivery Networks ek aisa system hain jiske dwara kai networks mil kar bhugalik sthan ke aadhar par internet ke panne banate hain. Jab aap You Tube par video dekhte hain to usse us server se chalaya jata hain. Jahan pe woh usse pehle dekha ya jama kiya gaya tha aur na ki You Tube ke server se. Alag alag server dwara video dekhne se You-Tube ki buffering speed par asar ho sakta hain. Isliye aap CDN networks dwara istemaal ho rahe hain vibhinn IP addresses ko block kar sakte hain. Youtube Ka Speed Kaise Badhaye.


YouTube DNS ka istemaal kare

Aap You Tube ki buffering ki speed ko badha sakte hain agar aap alag DNS connection se internet ka istemaal karen. Iske liye aap apne PC ke control panel ke network connections ko chunei. Isme Properties ke button mein jaakar Internet Protocol ko chunei. Open DNS addresses mein naye DNS server ke number daalein. Youtube Ka Speed Kaise Badhaye.


SpeedBit Video Accelerator ka istemaal kare

SpeedBit Video Accelerator sabse accha software hain YouTube ki buffering ki speed ko badhane ke liye.

Yeh na sirf YouTube balki anya 165 video sites jaise Yahoo video, Facebook, AOL video aadi ke liye bahut acche se kaam karta hain. Aapko keval yeh software install karna padega. Iska muft vivaran sabhi sadharan videos ko chala sakta hain par HD (High Definition) videos ke liye aapko paise dene padenge.


Cache Data ko saaf karen

Aapko apne saare purane cached ya browsing data jaise history, passwords, aadi niyamit roop se hatate rahen jisse ki aapke internet ki speed par asar na ho. Aise kai software bhi uplabdh hain jo aape unchahe browsing data ko hatati rehti hain. Aap Ccleaner software ka istemaal kar sakte hain iss kaam ke liye. Youtube Ka Speed Kaise Badhaye.

Flash Player ke liye aap cache size ko badha sakte hain

Agar aap Internet Explorer ya Mozilla Firefox ka istemaal karte hain to YouTube ki speed badhane ke liye videos ki size ko badha sakte hain. Isse aapka video jaldi load ho jaayega.


You Tube ki video quality badal sakte hain

YouTube ki speed badhane ke liye aap videos ki quality badal sakte hain. High quality videos ko aap low quality jaise 240p ya 360p tak badal sakte hain. Youtube Ka Speed Kaise Badhaye.

You-Tube par aanewale vigyaapan band kar dein

Video dekhte samay koi vigyaapan beech mein aa jaye to aapke video ki speed kam ho jaati hain. Isse bachne ke liye aap ek plug-in bhi install kar sakte hain jo ki You Tube par aanewale vigyaaoanon ko rok deta hain. Adblocker taknik ek sarvashreshtha upay hain in vigyaapanon ko rokne ke liye.

Agar apko article pasand aaya ho to apne friends aur relatives mai share jarur kare. Aur unhe jo bhi jankari chahiye to kahe bas Www.hindimehelprustam.blogspot.com  par jaye.

टिप्पणियाँ

लोकप्रिय पोस्ट